** Mere Department ki Junta **
________________________________
yeh kirdar hai sabhi ek choti si kahani ke..
dum rakhe hai sabhi bade badon ko chane chabwane ke
kahan se shuru kare yeh samaj nahi aata hai
jisko jab mauka mile wo wahin pe bakar machata hai
yeh bade hi nirale hai, bhooton se hasi chura ke laye hai
kaam kaaj mein ji nahi lagta, chutti har samay paye hai
yeh dariba mein kam udaipur mein jayada paye jate hai
apne negotiation ke kisse dinbhar yeh sabko sunate hai
ek doosre hai, alag se hi nazar aate hai,
dhoop ho ya nahi chasma hamesha lagate hai
doosre department mein inke kaam jayada jaldi ho jate hai
khud ke kaamo ki to bas dinbhar MIS yeh banate hai
inke andaaz bhi aaj tak koi samj nahi paaya
kaam nahi hai koi phir bhi dibhar busy khudko dikhaya
dinbhar baat cheet ke detail mein yeh chali jati hai
capex ko chod yeh har cheez pe discuss karte nazar aati hai
diya tale andhere ka matlab inhone hume samjahya
spanish ke gaano ko decipher karke sunaya
inki chemistry ka formula aajtak koi nahi samaj paya hai
dinbhar kahut karte hai kaam, khana inhone kabhi nahi khaya hai
aage chalte hai to choti si bacchi nazar aati hai
lagti hai bacchi par mirchi se tikhi baate kar jati hai
export ka mangana ho maal,to inke pass sab jate hai
bade to bade ..bacche bhi inse unche nazar aate hai
iske baad bade log bhi department mein aate hai
CSR ke naam pe bade kaam karwate hai
mota moti inki bas yehi khani hai
yeh mast hai aur inki sab baatein badi mastani hai
sath mein humare kuch ese bhi kirdar hai
jinko facebok pe chatting ki aaj bhi darkar hai
saath samandar paar se inhe sameer ka intezzar hai
inse to vendor ka negotiation bhi bada tez tarrar hai
inse milye, yeh hamesha facebook hi nazar aati hai
inki har aawaz na jake kyun planing (dpt) mein chali jati hai
nut bolt ko kharid karid ke plant ko chalati hai
mech head hai inke khass unko bahut daant lagati hai
inhe koi itna abhi jaan nahi paaya hai
jarshu guada ke jungle se inhone dariba ko apnaya hai
inke baare mein aur kuch nahi keh paayenge
yeh bahut shanti hai inki shanti ko na hata payenge
iski lambai chaudai ki ganit to dooniya ka nava wonder bataya
pav bhar ka vajan hai, tonno ke maal mangwata hai
dinbhar mobile pe najane kisse itni gaapen ladata hai
yeh bole shatabadi se tej, isko to bas bhagwan samaj pata hai
dooniya mein nautanki ki kami thi inhone kari bharpai
sari picturon ke dailouge iske jahan mein hai samayi
dinbhar phone mein na jane kya doonte nazar aate hai
shakal hai bholi se par bakar badi machate hai
yeh bhi shanti ki moorat nazar aate hai
maan mein haazaron raz daabaye na jane kya chate hai
mines ki karte hai yeh sari kharidari
par mines mein kabhi anadar nahi yeh jate hai
in sabse upar ek aur shaks aata hai
poodiya mein band jadooyi booti se unka nata hai
sankat ke samay sabhi unki sharan mein jate hai
kab kiski woh lele, hum kabhi samaj nahi pate hai
Thursday, April 28, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

1 comment:
Nice poetry dude....
you wrote them all??
Post a Comment