Tuesday, February 23, 2010

hasya kavi samelan @ NMIMS

NM ke itihas mein phela kavi samelan hua .....read what i had to say

College days

Prafullit hai maan, dimag mein ek ajab si masti chaye
Aa gaye hai NM, abhi se executive... naam ke aage lagaye
Pure bharat se chun chun bana yeh 2008-10 ka mela
Kisi ko mila industry ka saath to koi aaya akela.

Charon taraf hai fin marketing HR ke subject ka jhol
Finance ki class mein engg hai chup accountant rahe bol
Marketing mein consumer ko mein kabhi samaj na paya
“gas” banane ka sahi formula maston ne sikhaya
HR ke personality test mein master ne esa ghoomaya
Antar maan ko samjhaya aur cheating ka sahara paya
CSR pada to companiyon ek naya hi ganit nikal ke aaya
Ped ugaane ke naam pe companiyon ne bahut paisa banaya
Magar sabse jayada maja to ethics padne mein aata hai
Unethical banda hi exam mein sabse highest marks pata hai


Master dete hai Harvard case, solution humse banwate hai
Plagiarism ka daar dikha ke raat raat bhar assignment karwate hai
Lekin wohi case hum net se doondh le aate hai aur master hume pakad nahi pate hai
Kyunki plagiarism ka software bhi to IT company mein hum hi banate hai
Aaya assignment dene samay google,scribd, slideshare ko apna dost banaya
Dost kar rahe they kaam, humne chaupati mein gole ka swad apnaya
Bina pade saal ko gujara, sara samay cell event mein bitaya
Watt lagwa li grading ke process mein, lekin council pe pad se moh na hata paya
Paragana, euporia, mein companiyon ke age sponsorship ke geet bole
Jitna paisa aaya usse kabhi whiskey kahbhi beer ki bottle khole
Jaan nikal jati hai management se event ke manjoori lane mein
Aur masti aati hai 800 logo ka event ek chote se quad mein karane mein

NM ki life hai ek masti ka gana jisse baar baar sunao
Do saal mere rewind karke ...koi wapas play ka button dabao

No comments: